kuchh na kuchh mujhko bhi kar jaane ko ji chahta hai
kuchh na kuchh mujh ko bhī kar jaane ko jī chāhtā hai
aisī tanhā.ī ki mar jaane ko jī chāhtā hai
vo pareshān hai suntā huuñ bahut mere liye
aaj mujh ko bhī sañvar jaane ko jī chāhtā hai
taaki vo bhī mire jazbāt se vāqif ho jaa.e
us kī sāñsoñ meñ utar jaane ko jī chāhtā hai
us kī yādoñ kā tasalsul nahīñ ruktā ik pal
hasrat-o-yās meñ bhar jaane ko jī chāhtā hai
bād-e-sarsar ke tasallut meñ rahā huuñ itnā
ab bahāroñ se bhī Dar jaane ko jī chāhtā hai
kyoñ taqāzā-e-karam us se karūñ maiñ āḳhir
choT khā khā ke nikhar jaane ko jī chāhtā hai
koī ġham bāñTne vaalā bhī yahāñ jaise nahīñ
aise hālāt meñ ghar jaane ko jī chāhtā hai
ek do pal ke liye terī hasīñ palkoñ par
sūrat-e-ashk Thahar jaane ko jī chāhtā hai
muskurā kar baḌe andāz se ye us ne kahā
apne va.adoñ se mukar jaane ko jī chāhtā hai
log patthar se bhī hoñ saḳht jahāñ ai 'shād'
aisī bastī se guzar jaane ko jī chāhtā hai
kuchh na kuchh mujh ko bhi kar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
wo pareshan hai sunta hun bahut mere liye
aaj mujh ko bhi sanwar jaane ko ji chahta hai
taki wo bhi mere jazbaat se waqif ho jae
us ki sanson mein utar jaane ko ji chahta hai
us ki yaadon ka tasalsul nahin rukta ek pal
hasrat-o-yas mein bhar jaane ko ji chahta hai
baad-e-sarsar ke tasallut mein raha hun itna
ab bahaaron se bhi Dar jaane ko ji chahta hai
kyon taqaza-e-karam us se karun main aaKHir
choT kha kha ke nikhar jaane ko ji chahta hai
koi gham banTne wala bhi yahan jaise nahin
aise haalat mein ghar jaane ko ji chahta hai
ek do pal ke liye teri hasin palkon par
surat-e-ashk Thahar jaane ko ji chahta hai
muskura kar baDe andaz se ye us ne kaha
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai
log patthar se bhi hon saKHt jahan ai 'shad'
aisi basti se guzar jaane ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.