kuchh nahin duniya badal jaane ki gham-KHwani mujhe
kuchh nahin duniya badal jaane ki gham-KHwani mujhe
Syed Anjum Jafri
MORE BYSyed Anjum Jafri
kuchh nahīñ duniyā badal jaane kī ġham-ḳhvānī mujhe
haañ magar ḳhud ke taġhayyur pe hai hairānī mujhe
dasht se lauTā to maiñ huuñ ik bagūle kā ḳhamīr
dekhtī hai kis nazar se ghar kī vīrānī mujhe
ik zamāne se sū-e-bāzār maiñ niklā nahīñ
dars detī hai bahut yūsuf kī arzānī mujhe
sun liye bikhre hue ġham maiñ ne rātoñ ke tamām
haa.e ai duniyā abhī tak tū na pahchānī mujhe
ahl-e-'anjum' ek din vo bhī zamāna aa.egā
raas aa.egī zamīn-e-fan kī sultānī mujhe
kuchh nahin duniya badal jaane ki gham-KHwani mujhe
han magar KHud ke taghayyur pe hai hairani mujhe
dasht se lauTa to main hun ek bagule ka KHamir
dekhti hai kis nazar se ghar ki virani mujhe
ek zamane se su-e-bazar main nikla nahin
dars deti hai bahut yusuf ki arzani mujhe
sun liye bikhre hue gham main ne raaton ke tamam
hae ai duniya abhi tak tu na pahchani mujhe
ahl-e-'anjum' ek din wo bhi zamana aaega
ras aaegi zamin-e-fan ki sultani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.