kuchh nahin hai pas mere is zamane ke liye
kuchh nahīñ hai paas mere is zamāne ke liye
aaj maiñ niklā huuñ ḳhud paisa kamāne ke liye
gaañv chhoḌā aur sab ko alvidā' kahnā paḌā
yaar bas do vaqt kī roTī juTāne ke liye
māntā huuñ aaj bhī an-paḌh haiñ kuchh maa.eñ magar
kyā nahīñ kartī haiñ bachchoñ ko paḌhāne ke liye
jab burā lagtā hai tujh ko naam bhī sun ke merā
to karūñ kyoñ baat terā dil dukhāne ke liye
saath mere tum na ro.o bas yahī maiñ soch kar
kartā huuñ koshish bahut aañsū chhupāne ke liye
yaar 'mohak' tū jo aisā hī rahā to ek din
jaan bhī de saktā hai yaarī nibhāne ke liye
kuchh nahin hai pas mere is zamane ke liye
aaj main nikla hun KHud paisa kamane ke liye
ganw chhoDa aur sab ko alwida' kahna paDa
yar bas do waqt ki roTi juTane ke liye
manta hun aaj bhi an-paDh hain kuchh maen magar
kya nahin karti hain bachchon ko paDhane ke liye
jab bura lagta hai tujh ko nam bhi sun ke mera
to karun kyon baat tera dil dukhane ke liye
sath mere tum na roo bas yahi main soch kar
karta hun koshish bahut aansu chhupane ke liye
yar 'mohak' tu jo aisa hi raha to ek din
jaan bhi de sakta hai yari nibhane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.