kuchh nahin ho raha hai kya hai ye
kuchh nahīñ ho rahā hai kyā hai ye
aadmī ro rahā hai kyā hai ye
koī us ko zarā jagā.e to
āsmāñ so rahā hai kyā hai ye
vo jo aaya thā amn kī ḳhātir
zulm vo bo rahā hai kyā hai ye
saaf karnī thī gandagī man kī
haath muñh dho rahā hai kyā hai ye
paas insāñ ke sirf pyaar hī thā
vo bhī ab kho rahā hai kyā hai ye
kuchh nahin ho raha hai kya hai ye
aadmi ro raha hai kya hai ye
koi us ko zara jagae to
aasman so raha hai kya hai ye
wo jo aaya tha amn ki KHatir
zulm wo bo raha hai kya hai ye
saf karni thi gandagi man ki
hath munh dho raha hai kya hai ye
pas insan ke sirf pyar hi tha
wo bhi ab kho raha hai kya hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.