kuchh nahin hoga ab bayan jaanan
kuchh nahīñ hogā ab bayāñ jānāñ
ḳhatm hotī hai dāstāñ jānāñ
kaise bolūñ ki tere jaane se
luT gayā merā kārvāñ jānāñ
ab milūñgā nahīñ kabhī tum ko
maiñ chalā sū-e-asmāñ jānāñ
ye jo tum duur ho ga.e mujh se
aa gayā kaun darmiyāñ jānāñ
bin tumhāre ye haal hai merā
aab bin jaise machhliyāñ jānāñ
tum ne bolā thā ye ,muzammil' ko
ishq hotā hai jāvedāñ jānāñ
kuchh nahin hoga ab bayan jaanan
KHatm hoti hai dastan jaanan
kaise bolun ki tere jaane se
luT gaya mera karwan jaanan
ab milunga nahin kabhi tum ko
main chala su-e-asman jaanan
ye jo tum dur ho gae mujh se
aa gaya kaun darmiyan jaanan
bin tumhaare ye haal hai mera
aab bin jaise machhliyan jaanan
tum ne bola tha ye ,muzammil' ko
ishq hota hai jawedan jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.