Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh nahin hone ke idrak se Darta kyun hai

Ashfaq Husain

kuchh nahin hone ke idrak se Darta kyun hai

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

    kuchh nahīñ hone ke idrāk se Dartā kyuuñ hai

    ḳhaak honā hai to phir ḳhaak se Dartā kyuuñ hai

    jab kisī dast-e-zuleḳhā se ta.alluq nahīñ

    apne dāman ke kisī chaak se Dartā kyuuñ hai

    aise mausam meñ to har shāḳh pe phuul aate haiñ

    āḳhir is mausam-e-namnāk se Dartā kyuuñ hai

    kal sitāroñ ko bhī ḳhātir meñ nahīñ laatā thā

    aaj sail-e-ḳhas-o-ḳhāshāk se Dartā kyuuñ hai

    reshmī lafz-o-bayāñ se suḳhan-ārā.ī kar

    apnī udhḌī huī poshāk se Dartā kyuuñ hai

    vo ḳhud apne kisī jaal meñ phañs jā.egā

    hausla rakh kisī chālāk se Dartā kyuuñ hai

    ye to bas ik ravish-e-ḳhās pe kartī hai safar

    aadmī gardish-e-aflāk se Dartā kyuuñ hai

    kuchh nahin hone ke idrak se Darta kyun hai

    KHak hona hai to phir KHak se Darta kyun hai

    jab kisi dast-e-zuleKHa se talluq hi nahin

    apne daman ke kisi chaak se Darta kyun hai

    aise mausam mein to har shaKH pe phul aate hain

    aaKHir is mausam-e-namnak se Darta kyun hai

    kal sitaron ko bhi KHatir mein nahin lata tha

    aaj sail-e-KHas-o-KHashak se Darta kyun hai

    reshmi lafz-o-bayan se suKHan-arai kar

    apni udhDi hui poshak se Darta kyun hai

    wo KHud apne hi kisi jal mein phans jaega

    hausla rakh kisi chaalak se Darta kyun hai

    ye to bas ek rawish-e-KHas pe karti hai safar

    aadmi gardish-e-aflak se Darta kyun hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now