kuchh nahin kah rahi ye raat mujhe
kuchh nahīñ kah rahī ye raat mujhe
dard se chāhiye najāt mujhe
jaane lagtā hai aisā kyuuñ mujh ko
phir girānā hai somnāt mujhe
be-niyāzī kī is bulandī par
kuchh nahīñ kahte sānehāt mujhe
jab nikaltā huuñ dā.ere se kabhī
khīñch letī hai kā.enāt mujhe
ye jahāñ maiñ sañvār jā.uñgā
raas aa.ī agar hayāt mujhe
sab taġhayyur hai jab haqīqat meñ
kise mumkin ki ho sabāt mujhe
mil ga.ī to maiñ din banā.ūñgā
raushnī se bharī davāt mujhe
chalte-phirte hue ujāle meñ
DhūñD letī hai roz raat mujhe
kuchh nahin kah rahi ye raat mujhe
dard se chahiye najat mujhe
jaane lagta hai aisa kyun mujh ko
phir girana hai somnat mujhe
be-niyazi ki is bulandi par
kuchh nahin kahte sanehat mujhe
jab nikalta hun daere se kabhi
khinch leti hai kaenat mujhe
ye jahan main sanwar jaunga
ras aai agar hayat mujhe
sab taghayyur hai jab haqiqat mein
kise mumkin ki ho sabaat mujhe
mil gai to main din banaunga
raushni se bhari dawat mujhe
chalte-phirte hue ujale mein
DhunD leti hai roz raat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.