kuchh nahin khulta ibtida kya hai
kuchh nahīñ khultā ibtidā kyā hai
is ḳharābāt kī binā kyā hai
sochte haiñ ki ibtidā kyā thī
kaash samjheñ ki intihā kyā hai
nahīñ tum ho hamārī nazroñ meñ
ham nahīñ jānte ḳhudā kyā hai
dard tum ne diyā ināyat kī
magar is dard kī davā kyā hai
ham ne duniyā meñ kyā nahīñ dekhā
dekhiye aur dekhnā kyā hai
kuchh nahin khulta ibtida kya hai
is KHarabaat ki bina kya hai
sochte hain ki ibtida kya thi
kash samjhen ki intiha kya hai
nahin tum ho hamari nazron mein
hum nahin jaante KHuda kya hai
dard tum ne diya inayat ki
magar is dard ki dawa kya hai
hum ne duniya mein kya nahin dekha
dekhiye aur dekhna kya hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 524)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.