kuchh nahin qil-o-qal mein ai dost
kuchh nahīñ qīl-o-qāl meñ ai dost
mast rah apne haal meñ ai dost
zindagī us kā zikr sunte hī
aa ga.ī ishti.āl meñ ai dost
saañs lenā muhāl hai yuuñ bhī
aur aise vabāl meñ ai dost
kis qabīle ke log haiñ ham log
ḳhush haiñ ya.anī zavāl meñ ai dost
terī sūrat dikhā.ī paḌtī hai
kyā ġhazal kyā ġhazāl meñ ai dost
yād-e-māzī meñ umr kaT jaa.e
ḳhaak hai māh-o-sāl meñ ai dost
sach kahūñ to javāb rakkhā hai
aap hī ke savāl meñ ai dost
koī 'mahmūd' sā agar hai to
pesh kiije misāl meñ ai dost
kuchh nahin qil-o-qal mein ai dost
mast rah apne haal mein ai dost
zindagi us ka zikr sunte hi
aa gai ishtial mein ai dost
sans lena muhaal hai yun bhi
aur aise wabaal mein ai dost
kis qabile ke log hain hum log
KHush hain yani zawal mein ai dost
teri surat dikhai paDti hai
kya ghazal kya ghazal mein ai dost
yaad-e-mazi mein umr kaT jae
KHak hai mah-o-sal mein ai dost
sach kahun to jawab rakkha hai
aap hi ke sawal mein ai dost
koi 'mahmud' sa agar hai to
pesh kije misal mein ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.