kuchh nahin se sab bana kaise
kuchh nahīñ se sab banā kaise
ik ḳhalā meñ thā ḳhudā kaise
raat din ye chāñd sūraj sab
ugte Dhalte haiñ bhalā kaise
gar dhamāke se hai janmī to
hogī ye duniyā fanā kaise
bas tasavvur to nahīñ hai tū
tujh ko pā.ūñ maiñ batā kaise
koī hal hai in savāloñ kā
ḳhatm kab hogā ye kyā kaise
kuchh nahin se sab bana kaise
ek KHala mein tha KHuda kaise
raat din ye chand suraj sab
ugte Dhalte hain bhala kaise
gar dhamake se hai janmi to
hogi ye duniya fana kaise
bas tasawwur to nahin hai tu
tujh ko paun main bata kaise
koi hal hai in sawalon ka
KHatm kab hoga ye kya kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.