kuchh nahin sham suhani ye khula hai mujh par
kuchh nahīñ shaam suhānī ye khulā hai mujh par
chaar din kī hai javānī ye khulā hai mujh par
jhuuT bolūñ to malāmat mujhe kartā hai zamīr
pī ke lahore kā paanī ye khulā hai mujh par
maiñ use apnī samajhtā rahā mumtāz mahal
vo to hai aur kī raanī ye khulā hai mujh par
us ne āġhāz-e-mohabbat meñ mujhe sauñp diyā
hijr hai us kī nishānī ye khulā hai mujh par
ab to ehsās-o-muravvat kā zamāna hī nahīñ
mar gayā aañkh kā paanī ye khulā hai mujh par
ik haqīqat kā bayāñ sher meñ karnā hai mujhe
ik haqīqat hai chhupānī ye khulā hai mujh par
kuchh nahin sham suhani ye khula hai mujh par
chaar din ki hai jawani ye khula hai mujh par
jhuT bolun to malamat mujhe karta hai zamir
pi ke lahore ka pani ye khula hai mujh par
main use apni samajhta raha mumtaz mahal
wo to hai aur ki rani ye khula hai mujh par
us ne aaghaz-e-mohabbat mein mujhe saunp diya
hijr hai us ki nishani ye khula hai mujh par
ab to ehsas-o-murawwat ka zamana hi nahin
mar gaya aankh ka pani ye khula hai mujh par
ek haqiqat ka bayan sher mein karna hai mujhe
ek haqiqat hai chhupani ye khula hai mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.