kuchh nahin tere siwa sochte hain
kuchh nahīñ tere sivā sochte haiñ
tujh ko hī bahr-e-ḳhudā sochte haiñ
dekh kar chāñd sitāroñ kī ravish
ham tire ghar kā patā sochte haiñ
chhoḌiye ishq kā farsūda ḳhayāl
ā.īye kuchh to nayā sochte haiñ
tere bin kaise guzartī ye hayāt
jaañ hī nikle jo zarā sochte haiñ
ham jo bo.eñge vahī kāTeñge
phir bhī auroñ kā burā sochte haiñ
TuuT kar phir nahīñ juḌtā hai dil
ye kahāñ ahl-e-jafā sochte haiñ
tum ki apnoñ se adāvat hai tumheñ
ham ki ġhairoñ kā bhalā sochte haiñ
kuchh nahin tere siwa sochte hain
tujh ko hi bahr-e-KHuda sochte hain
dekh kar chand sitaron ki rawish
hum tere ghar ka pata sochte hain
chhoDiye ishq ka farsuda KHayal
aaiye kuchh to naya sochte hain
tere bin kaise guzarti ye hayat
jaan hi nikle jo zara sochte hain
hum jo boenge wahi kaTenge
phir bhi auron ka bura sochte hain
TuT kar phir nahin juDta hai dil
ye kahan ahl-e-jafa sochte hain
tum ki apnon se adawat hai tumhein
hum ki ghairon ka bhala sochte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.