kuchh nai hum pe guzar jae to phir sher kahen
kuchh na.ī ham pe guzar jaa.e to phir sher kaheñ
bhūlī-bisrī koī yaad aa.e to phir sher kaheñ
zindagī ham ko lage phir se jo anjānī sī
aur gayā vaqt palaT aa.e to phir sher kaheñ
koī uḌtā huā āñchal koī bikhrī huī zulf
sher kahne ko jo uksā.e to phir sher kaheñ
fikr-e-fardā ġham-e-ayyām kā chhāyā hai ġhubār
zehn se dhuñd ye chhaT jaa.e to phir sher kaheñ
karb-e-ehsās kā iz.hār hai maqsūd-e-ġhazal
dard lafzoñ meñ simaT aa.e to phir sher kaheñ
kuchh nai hum pe guzar jae to phir sher kahen
bhuli-bisri koi yaad aae to phir sher kahen
zindagi hum ko lage phir se jo anjaani si
aur gaya waqt palaT aae to phir sher kahen
koi uDta hua aanchal koi bikhri hui zulf
sher kahne ko jo uksae to phir sher kahen
fikr-e-farda gham-e-ayyam ka chhaya hai ghubar
zehn se dhund ye chhaT jae to phir sher kahen
karb-e-ehsas ka izhaar hai maqsud-e-ghazal
dard lafzon mein simaT aae to phir sher kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.