kuchh nazakat na ho shoKHi na ho andaz na ho
kuchh nazākat na ho shoḳhī na ho andāz na ho
husn vo husn kyā jis husn meñ kuchh naaz na ho
zulm ke saath hai ye shart bhī us zālim kī
aah nikle bhī agar koī to āvāz na ho
baat jo hotī hai hoñToñ ko batā detā hai
dil ke jaisā bhī kisī kā koī hamrāz na ho
mere sayyād ne ye soch ke par kaaT diye
ab qafas meñ bhī kahīñ hasrat-e-parvāz na ho
husn to ishq kī shiddat se nikhartā hai 'bilāl'
taaj be-kār hai jab tak koī mumtāz na ho
kuchh nazakat na ho shoKHi na ho andaz na ho
husn wo husn kya jis husn mein kuchh naz na ho
zulm ke sath hai ye shart bhi us zalim ki
aah nikle bhi agar koi to aawaz na ho
baat jo hoti hai honTon ko bata deta hai
dil ke jaisa bhi kisi ka koi hamraaz na ho
mere sayyaad ne ye soch ke par kaT diye
ab qafas mein bhi kahin hasrat-e-parwaz na ho
husn to ishq ki shiddat se nikharta hai 'bilal'
taj be-kar hai jab tak koi mumtaz na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.