kuchh nazare hain kuchh nazar baqi
kuchh nazāre haiñ kuchh nazar baaqī
aur kuchh kos kā safar baaqī
rah gayā hai kitāb meñ din kī
shaam kā bāb-e-muḳhtasar baaqī
is ḳhizāñ meñ bhī kuchh mahaktā hai
dil hai baaqī abhī jigar baaqī
ḳhaak hī ḳhaak huuñ magar chhū mat
ishq kā hai abhī sharar baaqī
vaqt-e-ruḳhsat palaT ke barsī jo
hai nigāhoñ meñ vo nazar baaqī
dhul ga.ī thī jo tere ashkoñ se
ḳhat meñ vo hī hai ik satar baaqī
kasmasāte haiñ paañv ke chhāle
hai abhī bhī koī safar baaqī
kuchh nazare hain kuchh nazar baqi
aur kuchh kos ka safar baqi
rah gaya hai kitab mein din ki
sham ka bab-e-muKHtasar baqi
is KHizan mein bhi kuchh mahakta hai
dil hai baqi abhi jigar baqi
KHak hi KHak hun magar chhu mat
ishq ka hai abhi sharar baqi
waqt-e-ruKHsat palaT ke barsi jo
hai nigahon mein wo nazar baqi
dhul gai thi jo tere ashkon se
KHat mein wo hi hai ek satar baqi
kasmasate hain panw ke chhaale
hai abhi bhi koi safar baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.