kuchh pata mera nahin hai aashiyanon mein kahin
kuchh pata merā nahīñ hai āshiyānoñ meñ kahīñ
gum huā huuñ chalte chalte kārvānoñ meñ kahīñ
ai duā us kī ḳhabar le kar tū jaldī lauTnā
gum ga.ī hai aah merī āsmānoñ meñ kahīñ
ḳhvāb ke rath jis jagah hotā hai bādal par safar
aaj shab le jā mujhe tū un jahānoñ meñ kahīñ
ek sūraj chhup gayā hai aa ke chādar meñ mirī
ek saaya mil gayā hai sā.ebānoñ meñ kahīñ
raat mash.al le ke un ko DhūñDne maiñ jā.uñgā
jo chhupe baiThe haiñ dil ke raakh dānoñ meñ kahīñ
garche hai dushvār phir bhī DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ
ek chehra gum huā ā.īna-ḳhānoñ meñ kahīñ
jin ke hone se mayassar haiñ tujhe āsāniyāñ
kaash ho merā shumār un mehrbānoñ meñ kahīñ
kuchh pata mera nahin hai aashiyanon mein kahin
gum hua hun chalte chalte karwanon mein kahin
ai dua us ki KHabar le kar tu jaldi lauTna
gum gai hai aah meri aasmanon mein kahin
KHwab ke rath jis jagah hota hai baadal par safar
aaj shab le ja mujhe tu un jahanon mein kahin
ek suraj chhup gaya hai aa ke chadar mein meri
ek saya mil gaya hai saebanon mein kahin
raat mashal le ke un ko DhunDne main jaunga
jo chhupe baiThe hain dil ke rakh danon mein kahin
garche hai dushwar phir bhi DhunDhta phirta hun main
ek chehra gum hua aaina-KHanon mein kahin
jin ke hone se mayassar hain tujhe aasaniyan
kash ho mera shumar un mehrbanon mein kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.