kuchh raha gham ki wo sara na gaya
kuchh rahā ġham ki vo saarā na gayā
tum ga.e zikr tumhārā na gayā
naam tasbīh paḌhī thī jis kī
vaqt aane pe pukārā na gayā
rā.egāñ thiiñ ki nahīñ kyā mālūm
kuchh umīdoñ kā sahārā na gayā
bojh ḳhvāboñ kā liye phirte the
qabr meñ bhī vo utārā na gayā
manzileñ chhūT ga.iiñ mil mil ke
bas bhaTaknā hī hamārā na gayā
kuchh raha gham ki wo sara na gaya
tum gae zikr tumhaara na gaya
nam tasbih paDhi thi jis ki
waqt aane pe pukara na gaya
raegan thin ki nahin kya malum
kuchh umidon ka sahaara na gaya
bojh KHwabon ka liye phirte the
qabr mein bhi wo utara na gaya
manzilen chhuT gain mil mil ke
bas bhaTakna hi hamara na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.