kuchh roz chahaton ka ajab silsila raha
kuchh roz chahaton ka ajab silsila raha
Fahmida Mosarrat Ahmad
MORE BYFahmida Mosarrat Ahmad
kuchh roz chāhatoñ kā ajab silsila rahā
vo dhaḌkanoñ meñ pyaar kī sūrat basā rahā
ik shaḳhs jis ko dil se bhulāyā thā baar baar
ye dil ki phir bhī us ko sadā sochtā rahā
jis ke junūñ meñ ham ne bitā dī tamām umr
ye kyā ki umr bhar hī vo ham se ḳhafā rahā
ye sach hai mujh se haath chhuḌā kar vo jā chukā
jaatā use maiñ duur talak dekhtā rahā
tum us kī be-ruḳhī pe pareshāñ ho kis liye
dil toḌnā to us kā sadā mashġhala rahā
chāhat meñ apnā zauq-e-safar bhī ajiib thā
us se hī shauq-e-husn-e-'masarrat' sajā rahā
kuchh roz chahaton ka ajab silsila raha
wo dhaDkanon mein pyar ki surat basa raha
ek shaKHs jis ko dil se bhulaya tha bar bar
ye dil ki phir bhi us ko sada sochta raha
jis ke junun mein hum ne bita di tamam umr
ye kya ki umr bhar hi wo hum se KHafa raha
ye sach hai mujh se hath chhuDa kar wo ja chuka
jata use main dur talak dekhta raha
tum us ki be-ruKHi pe pareshan ho kis liye
dil toDna to us ka sada mashghala raha
chahat mein apna zauq-e-safar bhi ajib tha
us se hi shauq-e-husn-e-'masarrat' saja raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.