kuchh roz se hamari tabiat udas hai
kuchh roz se hamārī tabī.at udaas hai
tū kyā judā huā hai ki qismat udaas hai
himmat ko jab se ham ne banāyā hai ham-safar
ġham ġham-zada hai aur musībat udaas hai
rangīn chādaroñ ko mazāroñ pe dekh kar
saada libās merī aqīdat udaas hai
us ne bayān sach ko kiyā hai kuchh is tarah
har jhuuT ḳhush hai aur haqīqat udaas hai
yaaro suno zarā to muravvat se kaam lo
nafrat ke is chalan se mohabbat udaas hai
hindū milā rahā thā musalmāñ se apnā haath
manzar ye dekh kar hī siyāsat udaas hai
ujrat to hañs ke kar lī hai mazdūr ne qubūl
lekin ḳhafā pasīna hai mehnat udaas hai
kuchh roz se hamari tabiat udas hai
tu kya juda hua hai ki qismat udas hai
himmat ko jab se hum ne banaya hai ham-safar
gham gham-zada hai aur musibat udas hai
rangin chadaron ko mazaron pe dekh kar
sada libas meri aqidat udas hai
us ne bayan sach ko kiya hai kuchh is tarah
har jhuT KHush hai aur haqiqat udas hai
yaro suno zara to murawwat se kaam lo
nafrat ke is chalan se mohabbat udas hai
hindu mila raha tha musalman se apna hath
manzar ye dekh kar hi siyasat udas hai
ujrat to hans ke kar li hai mazdur ne qubul
lekin KHafa pasina hai mehnat udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.