kuchh roz se pareshan wo zulf-e-mushkbu hai
kuchh roz se pareshāñ vo zulf-e-mushkbū hai
mere hī hāl-e-dil kī tasvīr hū-ba-hū hai
ye kis kī aarzū hai ye kis kī justujū hai
kis kī talāsh meñ dil āvāra kū-ba-kū hai
ai be-adab ye kaisā andāz-e-guftugū hai
kambaḳht kuchh ḳhabar hai tū kis ke rū-ba-rū hai
phir koī zaḳhm taaza shāyad milegā dil ko
tāmīr-e-āshiyāñ kī phir dil ko aarzū hai
un ke karam kī hasrat un ke sitam kā shikva
muddat se 'shauq' apnā mauzū-e-guftugū hai
kuchh roz se pareshan wo zulf-e-mushkbu hai
mere hi haal-e-dil ki taswir hu-ba-hu hai
ye kis ki aarzu hai ye kis ki justuju hai
kis ki talash mein dil aawara ku-ba-ku hai
ai be-adab ye kaisa andaz-e-guftugu hai
kambaKHt kuchh KHabar hai tu kis ke ru-ba-ru hai
phir koi zaKHm taza shayad milega dil ko
tamir-e-ashiyan ki phir dil ko aarzu hai
un ke karam ki hasrat un ke sitam ka shikwa
muddat se 'shauq' apna mauzu-e-guftugu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.