kuchh samne hua hai to kuchh raaz mein hua
kuchh sāmne huā hai to kuchh raaz meñ huā
āġhāz-e-zindagī 'ajab andāz meñ huā
kaaTe ga.e gulāb lagā.e ga.e gulāb
jo kuchh huā bahār ke e'zāz meñ huā
jo faisle hue pas-e-parda usī ke the
e'lān jo huā mirī āvāz meñ huā
jo mo’jize hue tirī taḳh.īl meñ hue
jo sāniha huā mirī parvāz meñ huā
vo merī ḳhalvatoñ meñ thā duurī ke bāvajūd
ye mo'jiza firāq ke āġhāz meñ huā
kuchh samne hua hai to kuchh raaz mein hua
aaghaz-e-zindagi 'ajab andaz mein hua
kaTe gae gulab lagae gae gulab
jo kuchh hua bahaar ke e'zaz mein hua
jo faisle hue pas-e-parda usi ke the
e'lan jo hua meri aawaz mein hua
jo mo’jize hue teri taKHil mein hue
jo saniha hua meri parwaz mein hua
wo meri KHalwaton mein tha duri ke bawajud
ye mo'jiza firaq ke aaghaz mein hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.