kuchh safar ka ghubar jaisa tha
kuchh safar kā ġhubār jaisā thā
sāñsoñ par ik udhār jaisā thā
yak-ba-yak us kā aise chup honā
chīḳh thī yā pukār jaisā thā
jo kahā tum ne aur sunā maiñ ne
umr bhar ik ḳhumār jaisā thā
naam jo hoñT par nahīñ aayā
dhaḌkanoñ meñ shumār jaisā thā
naam terā likhā thā uñglī se
par shilā par ubhār jaisā thā
niim se chāñd chhan ke bikhrā thā
chāñdnī ko buḳhār jaisā thā
choT khā ke bhī gungunātā rahā
merā dil bhī sitār jaisā thā
terī chāhat kā jab bharam TuuTā
kuchh nashe ke utaar jaisā thā
yādoñ ke sab kagār Dhahte ga.e
vaqt bhī tez dhaar jaisā thā
dil pe ik bojh le ke jiitī rahī
jo gunāhoñ ke bhaar jaisā thā
kuchh safar ka ghubar jaisa tha
sanson par ek udhaar jaisa tha
yak-ba-yak us ka aise chup hona
chiKH thi ya pukar jaisa tha
jo kaha tum ne aur suna main ne
umr bhar ek KHumar jaisa tha
nam jo honT par nahin aaya
dhaDkanon mein shumar jaisa tha
nam tera likha tha ungli se
par shila par ubhaar jaisa tha
nim se chand chhan ke bikhra tha
chandni ko buKHar jaisa tha
choT kha ke bhi gungunata raha
mera dil bhi sitar jaisa tha
teri chahat ka jab bharam TuTa
kuchh nashe ke utar jaisa tha
yaadon ke sab kagar Dhahte gae
waqt bhi tez dhaar jaisa tha
dil pe ek bojh le ke jiti rahi
jo gunahon ke bhaar jaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.