kuchh sahmi sharmai KHushbu
kuchh sahmī sharmā.ī ḳhushbū
raat ga.e ghar aa.ī ḳhushbū
aañkh ke roshan-dān se utrī
dil meñ ek parā.ī ḳhushbū
āzādī kā haath pakaḌ kar
bāzāroñ meñ aa.ī ḳhushbū
tez bahut bāzār thā ab ke
mere haath na aa.ī ḳhushbū
thak kar baasī ho jaane se
pahle ghar lauT aa.ī ḳhushbū
raat ke sannāToñ meñ bole
ḳhāmoshī tanhā.ī ḳhushbū
kuchh sahmi sharmai KHushbu
raat gae ghar aai KHushbu
aankh ke roshan-dan se utri
dil mein ek parai KHushbu
aazadi ka hath pakaD kar
bazaron mein aai KHushbu
tez bahut bazar tha ab ke
mere hath na aai KHushbu
thak kar basi ho jaane se
pahle ghar lauT aai KHushbu
raat ke sannaTon mein bole
KHamoshi tanhai KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.