kuchh samajh aata nahin yar karun ya na karun

kuchh samajh aata nahin yar karun ya na karun
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
kuchh samajh aatā nahīñ yaar karūñ yā na karūñ
un se maiñ 'ishq kā iz.hār karūñ yā na karūñ
terā dīdār huā dil meñ nahīñ kuchh hasrat
ab kisī aur kā dīdār karūñ yā na karūñ
vo taraf-dārī meñ aa.e to mujhe kyā ġham hai
ab kisī ko maiñ taraf-dār karūñ yā na karūñ
vo bhī iqrār kareñ yā na kareñ kyā hai ḳhabar
maiñ bhī uljhan meñ huuñ inkār karūñ yā na karūñ
'ishq ke phuul na.e taur khilā kar ab maiñ
dil kī vīrānī ko gulzār karūñ yā na karūñ
jo bhī karnā hai use shauq se kar hī guzro
sochnā sab hai ye be-kār karūñ yā na karūñ
tazkire 'ishq ke ahbāb se 'faisal' sun kar
maiñ shash-o-panj meñ huuñ pyaar karūñ yā na karūñ
kuchh samajh aata nahin yar karun ya na karun
un se main 'ishq ka izhaar karun ya na karun
tera didar hua dil mein nahin kuchh hasrat
ab kisi aur ka didar karun ya na karun
wo taraf-dari mein aae to mujhe kya gham hai
ab kisi ko main taraf-dar karun ya na karun
wo bhi iqrar karen ya na karen kya hai KHabar
main bhi uljhan mein hun inkar karun ya na karun
'ishq ke phul nae taur khila kar ab main
dil ki virani ko gulzar karun ya na karun
jo bhi karna hai use shauq se kar hi guzro
sochna sab hai ye be-kar karun ya na karun
tazkire 'ishq ke ahbab se 'faisal' sun kar
main shash-o-panj mein hun pyar karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.