kuchh shafaq Dubte suraj ki bacha li jae
kuchh shafaq Dūbte sūraj kī bachā lī jaa.e
rañg-e-imkāñ se koī shakl banā lī jaa.e
harf mohmal sā koī haath pe us ke rakh do
qaht kaisā hai ki har saañs savālī jaa.e
shahr-e-malbūs meñ kyuuñ itnā barahna rahiye
koī chhat yā koī dīvār-e-ḳhayālī jaa.e
saath ho letā hai har shaam vahī sannāTā
ghar ko jaane kī na.ī raah nikālī jaa.e
pheñk āñkhoñ ko kisī jhiil kī gahrā.ī meñ
but koī soch ki āvāra ḳhayālī jaa.e
tishna-e-zaḳhm na rahne de badan ko 'ahmad'
aisī talvār sar-e-shahr uchhālī jaa.e
kuchh shafaq Dubte suraj ki bacha li jae
rang-e-imkan se koi shakl bana li jae
harf mohmal sa koi hath pe us ke rakh do
qaht kaisa hai ki har sans sawali jae
shahr-e-malbus mein kyun itna barahna rahiye
koi chhat ya koi diwar-e-KHayali jae
sath ho leta hai har sham wahi sannaTa
ghar ko jaane ki nai rah nikali jae
phenk aankhon ko kisi jhil ki gahrai mein
but koi soch ki aawara KHayali jae
tishna-e-zaKHm na rahne de badan ko 'ahmad'
aisi talwar sar-e-shahr uchhaali jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.