kuchh shoKH hasinaon si rangin kitaben
kuchh shoḳh hasīnāoñ sī rañgīn kitābeñ
din-rāt mujhe detī haiñ taskīn kitābeñ
insān hī tazlīl kiyā kartā hai in kī
kartī nahīñ insān kī tauhīn kitābeñ
sīkhā hai faqat in se hī jiine kā salīqa
tahzīb-o-tamaddun kī haiñ aa.iin kitābeñ
jab ġham se maiñ ghabrā ke taḌap jaatā huuñ aksar
kartī haiñ mujhe sabr kī talqīn kitābeñ
is nuur se māmūr azal se huuñ 'sharar' maiñ
īmān kitābeñ haiñ mirā diin kitābeñ
kuchh shoKH hasinaon si rangin kitaben
din-raat mujhe deti hain taskin kitaben
insan hi tazlil kiya karta hai in ki
karti nahin insan ki tauhin kitaben
sikha hai faqat in se hi jine ka saliqa
tahzib-o-tamaddun ki hain aain kitaben
jab gham se main ghabra ke taDap jata hun aksar
karti hain mujhe sabr ki talqin kitaben
is nur se mamur azal se hun 'sharar' main
iman kitaben hain mera din kitaben
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.