kuchh silsile falak ke paDe hain ujaD se
kuchh silsile falak ke paḌe haiñ ujaaḌ se
rishte bane hue haiñ zamīn ke pahāḌ se
be-jurm be-gunāh asīroñ kī ḳhair ho
aatī haiñ dam-ba-dam ye sadā.eñ tihāḌ se
badnām hotā hai vo jo aage dikhā.ī de
jalva dikhātā aur hī koī hai aaḌ se
tum to chale ga.e mirī duniyā ko chhoḌ kar
lag kar khaḌā hai kaun ye dil ke kivāḌ se
āñdhī chale kabhī to salāmat rahoge nā
paude ne sar uThā ke ye pūchhā hai jhaaḌ se
be-faiz sar-bulandī ke qaa.il nahīñ haiñ ham
miltā nahīñ hai saaya musāfir ko taaḌ se
kitne ajiib log haiñ 'āqib' tumhāre saath
hīroñ se bair ishq hai jin ko kabāḌ se
kuchh silsile falak ke paDe hain ujaD se
rishte bane hue hain zamin ke pahaD se
be-jurm be-gunah asiron ki KHair ho
aati hain dam-ba-dam ye sadaen tihaD se
badnam hota hai wo jo aage dikhai de
jalwa dikhata aur hi koi hai aaD se
tum to chale gae meri duniya ko chhoD kar
lag kar khaDa hai kaun ye dil ke kiwaD se
aandhi chale kabhi to salamat rahoge na
paude ne sar uTha ke ye puchha hai jhaD se
be-faiz sar-bulandi ke qail nahin hain hum
milta nahin hai saya musafir ko taD se
kitne ajib log hain 'aqib' tumhaare sath
hiron se bair ishq hai jin ko kabaD se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.