kuchh soch ke parwana mahfil mein jala hoga
kuchh soch ke parvāna mahfil meñ jalā hogā
shāyad isī marne meñ jiine kā mazā hogā
har sa.ī-e-sitam par aañsū nikal aa.e haiñ
anjām-e-tarab-koshī kyā jāniye kyā hogā
gumrāh-e-mohabbat huuñ pūchho na mirī manzil
har naqsh-e-qadam merā manzil kā patā hogā
kyā terā mudāvā ho dard-e-shab-e-tanhā.ī
chup rahiye to barbādī kahiye to gilā hogā
katrā ke to jaate ho dīvāne ke raste se
dīvāna lipaT jaa.e qadmoñ se to kyā hogā
maiḳhāne se masjid tak milte haiñ nuqūsh-e-pā
yā shaiḳh ga.e hoñge yā rind gayā hogā
farzānoñ kā kyā kahnā har baat pe laḌte haiñ
dīvāne se dīvāna shāyad hī laḌā hogā
rindoñ ko 'hafīz' itnā samjhā de koī jā kar
aapas meñ laḌoge tum vaa.iz kā bhalā hogā
kuchh soch ke parwana mahfil mein jala hoga
shayad isi marne mein jine ka maza hoga
har sai-e-sitam par aansu nikal aae hain
anjam-e-tarab-koshi kya jaaniye kya hoga
gumrah-e-mohabbat hun puchho na meri manzil
har naqsh-e-qadam mera manzil ka pata hoga
kya tera mudawa ho dard-e-shab-e-tanhai
chup rahiye to barbaadi kahiye to gila hoga
katra ke to jate ho diwane ke raste se
diwana lipaT jae qadmon se to kya hoga
maiKHane se masjid tak milte hain nuqush-e-pa
ya shaiKH gae honge ya rind gaya hoga
farzanon ka kya kahna har baat pe laDte hain
diwane se diwana shayad hi laDa hoga
rindon ko 'hafiz' itna samjha de koi ja kar
aapas mein laDoge tum waiz ka bhala hoga
- Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 62)
- Author : Hafeez Banarsi
- Publication : Hafeez Banarsi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.