kuchh tabiat hi mili thi aisi chain se jine ki surat na hui
kuchh tabī'at hī milī thī aisī chain se jiine kī sūrat nā huī
jis ko chāhā use apnā na sake jo milā us se mohabbat nā huī
jis se jab tak mile dil hī se mile dil jo badlā to fasāna badlā
rasm-e-duniyā ko nibhāne ke liye ham se rishtoñ kī tijārat nā huī
duur se thā vo ka.ī chehroñ meñ paas se koī bhī vaisā na lagā
bevafā.ī bhī usī kā thā chalan phir kisī se ye shikāyat nā huī
chhoḌ kar ghar ko kahīñ jaane se ghar meñ rahne kī ibādat thī baḌī
jhuuT mash.hūr huā raajā kā sach kī sansār meñ shohrat nā huī
vaqt rūThā rahā bachche kī tarah raah meñ koī khilaunā na milā
dostī kī to nibhā.ī na ga.ī dushmanī meñ bhī adāvat nā huī
kuchh tabi'at hi mili thi aisi chain se jine ki surat na hui
jis ko chaha use apna na sake jo mila us se mohabbat na hui
jis se jab tak mile dil hi se mile dil jo badla to fasana badla
rasm-e-duniya ko nibhane ke liye hum se rishton ki tijarat na hui
dur se tha wo kai chehron mein pas se koi bhi waisa na laga
bewafai bhi usi ka tha chalan phir kisi se ye shikayat na hui
chhoD kar ghar ko kahin jaane se ghar mein rahne ki ibaadat thi baDi
jhuT mashhur hua raja ka sach ki sansar mein shohrat na hui
waqt ruTha raha bachche ki tarah rah mein koi khilauna na mila
dosti ki to nibhai na gai dushmani mein bhi adawat na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.