kuchh taghayyur mere ahwal-e-pareshan mein nahin
kuchh taġhayyur mire ahvāl-e-pareshāñ meñ nahīñ
aise aalam meñ huuñ jo ālam-e-imkāñ meñ nahīñ
sub.h-e-mahshar bhī dikhā.ī nahīñ detī yārab
roz-e-bad bhī to nasīb-e-shab-e-hijrāñ meñ nahīñ
vahshat-e-ishq ko sābit-qadamī bhī hai zarūr
qais kā naqsh-e-qadam tak to bayābāñ meñ nahīñ
ho gayā zauq fazā-e-ḳhalish-e-yād-e-mizha
kaun kahtā hai ki lazzat tire paikāñ meñ nahīñ
dasht-e-vahshat meñ uḌe phirte haiñ ārām se ham
jo sifat zo.af meñ hai taḳht-e-sulaimāñ meñ nahīñ
kuchh taghayyur mere ahwal-e-pareshan mein nahin
aise aalam mein hun jo aalam-e-imkan mein nahin
subh-e-mahshar bhi dikhai nahin deti yarab
roz-e-bad bhi to nasib-e-shab-e-hijran mein nahin
wahshat-e-ishq ko sabit-qadami bhi hai zarur
qais ka naqsh-e-qadam tak to bayaban mein nahin
ho gaya zauq faza-e-KHalish-e-yaad-e-mizha
kaun kahta hai ki lazzat tere paikan mein nahin
dasht-e-wahshat mein uDe phirte hain aaram se hum
jo sifat zoaf mein hai taKHt-e-sulaiman mein nahin
- Book : Noquush (Pg. B-291 E-307)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.