kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe
kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe
Syed Iqbal Rizvi Sharib
MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib
kuchh tire nāz-o-sitam aur uThānā chāhe
dil mirā aql se phir aañkh churānā chāhe
apne hālāt koī mujh ko sunānā chāhe
aur vo ik baat jo mujh se hī chhupānā chāhe
merī ḳhvāhish ki terī yaad se ġhāfil na rahūñ
fikr-e-duniyā terī yādoñ ko miTānā chāhe
zehn duniyā kī haqīqat ko samajhne pe musir
dil ki bas ḳhvāboñ kī bastī meñ Thikānā chāhe
maiñ akelā to nahīñ us kī adā kā mahsūr
kuchh sabab hai ke use saarā zamāna chāhe
jis ko duniyā se hai āshufta-mizājī kā gila
vo bhī is ālam-e-fānī se na jaanā chāhe
ham ne ḳhāliq kī razā par kahāñ tolī har baat
bas vahī karte haiñ jo nafs karānā chāhe
kaun pahchāne hai 'shārib' tujhe is vaadī meñ
bin ta.āruf to koī yaañ se na jaanā chāhe
kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe
dil mera aql se phir aankh churana chahe
apne haalat koi mujh ko sunana chahe
aur wo ek baat jo mujh se hi chhupana chahe
meri KHwahish ki teri yaad se ghafil na rahun
fikr-e-duniya teri yaadon ko miTana chahe
zehn duniya ki haqiqat ko samajhne pe musir
dil ki bas KHwabon ki basti mein Thikana chahe
main akela to nahin us ki ada ka mahsur
kuchh sabab hai ke use sara zamana chahe
jis ko duniya se hai aashufta-mizaji ka gila
wo bhi is aalam-e-fani se na jaana chahe
hum ne KHaliq ki raza par kahan toli har baat
bas wahi karte hain jo nafs karana chahe
kaun pahchane hai 'shaarib' tujhe is wadi mein
bin taaruf to koi yan se na jaana chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.