kuchh to aaKHir mujhe bata kya hai
kuchh to āḳhir mujhe batā kyā hai
merī qismat kā faisla kyā hai
aql koī javāb de na sakī
dil se pūchho ki chāhtā kyā hai
tū agar mehrbān ho mujh par
dard kyā chiiz hai davā kyā hai
terī rusvā.ī merī badnāmī
ishq kī aur intihā kyā hai
tū mujhe apne dar se duur na kar
aur 'hāmid' kī iltijā kyā hai
kuchh to aaKHir mujhe bata kya hai
meri qismat ka faisla kya hai
aql koi jawab de na saki
dil se puchho ki chahta kya hai
tu agar mehrban ho mujh par
dard kya chiz hai dawa kya hai
teri ruswai meri badnami
ishq ki aur intiha kya hai
tu mujhe apne dar se dur na kar
aur 'hamid' ki iltija kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.