kuchh to batate jao masum zindagi hai
kuchh to batāte jaao ma.asūm zindagī hai
tārīkiyāñ kahāñ haiñ kis jā pe raushnī hai
be-chehragī ke qisse is meñ bhare paḌe haiñ
apnī sadī bhī kitnī be-rang sī sadī hai
ik ruḳh jahāñ kī ḳhātir ik ruḳh hai merā apnā
bāhar hañsī hai lab par andar se dil dukhī hai
ham kyā batā.eñ tum ko kyā rah gayā hai kahnā
ye zindagī hamārī hijrat meñ kaT ga.ī hai
lagtā hai is zamīñ ke din aa ga.e haiñ nazdīk
bāliġh-nazar mirī ye mahsūs kar rahī hai
tere sitam se us ne merā surāġh paayā
bijlī jo āsmāñ se sar par mire girī hai
mere qarīb aa kar sāthī vo merā ban kar
mere ḳhilāf sāzish us ne 'nazar' rachī hai
kuchh to batate jao masum zindagi hai
tarikiyan kahan hain kis ja pe raushni hai
be-chehragi ke qisse is mein bhare paDe hain
apni sadi bhi kitni be-rang si sadi hai
ek ruKH jahan ki KHatir ek ruKH hai mera apna
bahar hansi hai lab par andar se dil dukhi hai
hum kya bataen tum ko kya rah gaya hai kahna
ye zindagi hamari hijrat mein kaT gai hai
lagta hai is zamin ke din aa gae hain nazdik
baaligh-nazar meri ye mahsus kar rahi hai
tere sitam se us ne mera suragh paya
bijli jo aasman se sar par mere giri hai
mere qarib aa kar sathi wo mera ban kar
mere KHilaf sazish us ne 'nazar' rachi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.