kuchh to bolo miyan hua kya hai
kuchh to bolo miyāñ huā kyā hai
is qadar ḳhāmushī vaj.h kyā hai
phir rahe ho galī galī dar dar
yuuñ bhaTakne se fā.eda kyā hai
maiñ jo kahtā huuñ tum suno to sahī
bahs-o-takrār meñ rakhā kyā hai
aaj Duube to phir na ubhreñge
mauj-e-hastī kā aasrā kyā hai
qatra-e-be-karāñ hai garche sanam
phir sanam-gar batā ḳhudā kyā hai
dil hamāre kabhī mile hī nahīñ
ham mileñ bhī to fā.eda kyā hai
rafta rafta badal gayā 'abrār'
tum bhī badlo miyāñ burā kyā hai
kuchh to bolo miyan hua kya hai
is qadar KHamushi wajh kya hai
phir rahe ho gali gali dar dar
yun bhaTakne se faeda kya hai
main jo kahta hun tum suno to sahi
bahs-o-takrar mein rakha kya hai
aaj Dube to phir na ubhrenge
mauj-e-hasti ka aasra kya hai
qatra-e-be-karan hai garche sanam
phir sanam-gar bata KHuda kya hai
dil hamare kabhi mile hi nahin
hum milen bhi to faeda kya hai
rafta rafta badal gaya 'abrar'
tum bhi badlo miyan bura kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.