kuchh to duniya se kama le jaiye
kuchh to duniyā se kamā le jā.iye
ham faqīroñ kī du'ā le jā.iye
ho sake to us kī chaukhaT ke liye
sajda-e-dil-āshnā le jā.iye
ye bhī kyā kam hai ki us ke shahr meñ
sirf zaḳhmoñ kī ridā le jā.iye
ab charāġhoñ se dhuāñ uThne lagā
ab charāġhoñ ko uThā le jā.iye
sirf ummīd-e-vafā par 'umr bhar
āstīñ meñ saañp paale jā.iye
taaki maiñ ḳhud se bhī poshīda rahūñ
parda ā.īne pe Daale jā.iye
is se zālim ke baḌheñge hausle
yuuñ na zaḳhmoñ ko chhupā le jā.iye
aur to kuchh bhī nahīñ dil ke sivā
jo bhī hai achchhā burā le jā.iye
kuchh to duniya se kama le jaiye
hum faqiron ki du'a le jaiye
ho sake to us ki chaukhaT ke liye
sajda-e-dil-ashna le jaiye
ye bhi kya kam hai ki us ke shahr mein
sirf zaKHmon ki rida le jaiye
ab charaghon se dhuan uThne laga
ab charaghon ko uTha le jaiye
sirf ummid-e-wafa par 'umr bhar
aastin mein sanp pale jaiye
taki main KHud se bhi poshida rahun
parda aaine pe Dale jaiye
is se zalim ke baDhenge hausle
yun na zaKHmon ko chhupa le jaiye
aur to kuchh bhi nahin dil ke siwa
jo bhi hai achchha bura le jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.