kuchh to hamare darmiyan hai dil-lagi abhi
kuchh to hamāre darmiyāñ hai dil-lagī abhī
terī nigāh-e-nāz meñ hai tishnagī abhī
ḳhāmoshiyāñ ajiib haiñ is sard shahr kī
barfīlī is havā meñ hai dīvāngī abhī
sauġhāt mil rahī hai tirī yaad kī mujhe
is hijr ne sikhā.ī bahut shā.irī abhī
vo biit hī ga.ī jo amāvas kī raat thī
phailī hai mere chāroñ taraf chāñdnī abhī
jaane vo kaun log the jo kar ga.e vafā
tum se to ho sakī na zarā dilbarī abhī
ab bhī 'hinā' sahegā na-jāne vo kitne ġham
qismat meñ us kī hai likhī ye be-gharī abhī
kuchh to hamare darmiyan hai dil-lagi abhi
teri nigah-e-naz mein hai tishnagi abhi
KHamoshiyan ajib hain is sard shahr ki
barfili is hawa mein hai diwangi abhi
saughat mil rahi hai teri yaad ki mujhe
is hijr ne sikhai bahut shairi abhi
wo bit hi gai jo amawas ki raat thi
phaili hai mere chaaron taraf chandni abhi
jaane wo kaun log the jo kar gae wafa
tum se to ho saki na zara dilbari abhi
ab bhi 'hina' sahega na-jaane wo kitne gham
qismat mein us ki hai likhi ye be-ghari abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.