kuchh to ho kar du-badu kuchh Darte Darte kah diya
kuchh to ho kar du-badu kuchh Darte Darte kah diya
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
kuchh to ho kar dū-badū kuchh Darte Darte kah diyā
dil pe jo guzrā thā ham ne aage us ke kah diyā
bātoñ bātoñ meñ jo ham ne dard dil kā bhī kahā
sun ke bolā tū ne ye kyā bakte bikte kah diyā
ab kaheñ kyā us se hamdam dil lagāte vaqt-e-āh
thā jo kuchh kahnā so vo to ham ne pahle kah diyā
chaah rakhte the chhupā.e ham to lekin us kā bhed
kuchh to ham ne sāmne us ham-nashīñ ke kah diyā
ye sitam dekho zarā muñh se nikalte hī 'nazīr'
us ne is se is ne us se kah diyā
kuchh to ho kar du-badu kuchh Darte Darte kah diya
dil pe jo guzra tha hum ne aage us ke kah diya
baaton baaton mein jo hum ne dard dil ka bhi kaha
sun ke bola tu ne ye kya bakte bikte kah diya
ab kahen kya us se hamdam dil lagate waqt-e-ah
tha jo kuchh kahna so wo to hum ne pahle kah diya
chah rakhte the chhupae hum to lekin us ka bhed
kuchh to hum ne samne us ham-nashin ke kah diya
ye sitam dekho zara munh se nikalte hi 'nazir'
us ne is se is ne us se kah diya
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.