kuchh to jawab abru-e-KHamdar le chalo
kuchh to javāb abrū-e-ḳhamdār le chalo
zahrāb meñ bujhī huī talvār le chalo
parkho mujhe banā ke ḳharīdār le chalo
yūsuf bikeñ agar sar-e-bāzār le chalo
is anjuman meñ dostoñ sanjīdgī hai kam
tum apne saath talḳhī-e-afkār le chalo
phir tez ho ga.ī ġham-e-ḳhud-āgahī kī aañch
phir mujh ko sū-e-ḳhāna-e-ḳhammār le chalo
be-sāḳhta kahīñ na ugal duuñ maiñ rāz-e-dil
muñh-phaT huuñ tum mujhe bhī sar-e-dār le chalo
phir māñgtī hai dil kī taḌap sajda-reziyāñ
phir mujh ko nazd-e-sang-e-dar-e-yār le chalo
bahr-e-sukūn-e-qalb 'jamālī' ko dosto
jis jā haiñ jam' sāqī-o-mai-ḳhvār le chalo
kuchh to jawab abru-e-KHamdar le chalo
zahrab mein bujhi hui talwar le chalo
parkho mujhe bana ke KHaridar le chalo
yusuf biken agar sar-e-bazar le chalo
is anjuman mein doston sanjidgi hai kam
tum apne sath talKHi-e-afkar le chalo
phir tez ho gai gham-e-KHud-agahi ki aanch
phir mujh ko su-e-KHana-e-KHammar le chalo
be-saKHta kahin na ugal dun main raaz-e-dil
munh-phaT hun tum mujhe bhi sar-e-dar le chalo
phir mangti hai dil ki taDap sajda-reziyan
phir mujh ko nazd-e-sang-e-dar-e-yar le chalo
bahr-e-sukun-e-qalb 'jamali' ko dosto
jis ja hain jam' saqi-o-mai-KHwar le chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.