kuchh to mayus dil tere bas mein bhi hai
kuchh to māyūs dil tere bas meñ bhī hai
zindagī kā hunar ḳhār-o-ḳhas meñ bhī hai
aap kā jo irāda ho kah dījiye
dil abhī kuchh merī dastaras meñ bhī hai
terī marzī se maiñ māñgtā huuñ tujhe
merā kirdār merī havas meñ bhī hai
aa ki TuuTe ta.alluq ko phir joḌ leñ
tere bas meñ bhī hai mere bas meñ bhī hai
shahr-e-gul meñ bhī haiñ laakh pābandiyāñ
aur āzādī-e-jāñ qafas meñ bhī hai
ho salīqa to phir aadmī ke liye
vus.at-e-zindagī ik nafas meñ bhī hai
dekhiye dil kā 'asrār' kyā hashr ho
us kī āmādgī pesh-o-pas meñ bhī hai
kuchh to mayus dil tere bas mein bhi hai
zindagi ka hunar KHar-o-KHas mein bhi hai
aap ka jo irada ho kah dijiye
dil abhi kuchh meri dastaras mein bhi hai
teri marzi se main mangta hun tujhe
mera kirdar meri hawas mein bhi hai
aa ki TuTe talluq ko phir joD len
tere bas mein bhi hai mere bas mein bhi hai
shahr-e-gul mein bhi hain lakh pabandiyan
aur aazadi-e-jaan qafas mein bhi hai
ho saliqa to phir aadmi ke liye
wusat-e-zindagi ek nafas mein bhi hai
dekhiye dil ka 'asrar' kya hashr ho
us ki aamadgi pesh-o-pas mein bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.