kuchh to mauquf nigahon ki chamak par hoga
kuchh to mauqūf nigāhoñ kī chamak par hogā
varna manzar to sabhī ke liye manzar hogā
koī mahmez sī Thokar hai zarūrat merī
rah kā patthar to baḌe kaam kā patthar hogā
nā-tavāñ aise ki jo shaḳhs hameñ qatl kare
ḳhūn-ālūd na us shaḳhs kā ḳhanjar hogā
kuchh to karnā hai mujhe apnī hifāzat ke liye
ek din merī hathelī pe mirā sar hogā
kuchh to mauquf nigahon ki chamak par hoga
warna manzar to sabhi ke liye manzar hoga
koi mahmez si Thokar hai zarurat meri
rah ka patthar to baDe kaam ka patthar hoga
na-tawan aise ki jo shaKHs hamein qatl kare
KHun-alud na us shaKHs ka KHanjar hoga
kuchh to karna hai mujhe apni hifazat ke liye
ek din meri hatheli pe mera sar hoga
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 545)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.