kuchh to mere qabile ko KHuddari kha gai
kuchh to mire qabīle ko ḳhuddārī khā ga.ī
jo kuchh bachā thā ḳhvāhish-e-sardārī khā ga.ī
maz.hab ke ishtihār pe maslak kā kārobār
saarī ibādatoñ ko riyā-kārī khā ga.ī
nām-o-nasab ne ghar se nikalne nahīñ diyā
merā vajūd merī zamīn-dārī khā ga.ī
ham sādgī meñ kitne numāyāñ the dosto
apnī haqīqatoñ ko adā-kārī khā ga.ī
beTī ko maiñ jahez bhī detā to kis tarah
saarī kamā.ī baap kī bīmārī khā ga.ī
āsāniyāñ aziiz thiiñ 'maikash' hameñ magar
āsāniyoñ kī fasl ko dushvārī khā ga.ī
kuchh to mere qabile ko KHuddari kha gai
jo kuchh bacha tha KHwahish-e-sardari kha gai
mazhab ke ishtihaar pe maslak ka karobar
sari ibaadaton ko riya-kari kha gai
nam-o-nasab ne ghar se nikalne nahin diya
mera wajud meri zamin-dari kha gai
hum sadgi mein kitne numayan the dosto
apni haqiqaton ko ada-kari kha gai
beTi ko main jahez bhi deta to kis tarah
sari kamai bap ki bimari kha gai
aasaniyan aziz thin 'maikash' hamein magar
aasaniyon ki fasl ko dushwari kha gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.