kuchh to naya kiya hai hawa ne pata karo
kuchh to nayā kiyā hai havā ne patā karo
barham haiñ kyuuñ charāġh purāne patā karo
merā bhī ek abr ke TukḌe pe naam hai
aa.egā kab vo pyaas baḌhāne patā karo
kis kis ne sabz peḌ girā.e haiñ is baras
bārish ne āñdhiyoñ ne havā ne patā karo
kuchh din se maslahat kā janāza uThā.e haiñ
jā.eñge kis taraf ye dīvāne patā karo
shohrat kī raushnī ho ki nafrat kī tīrgī
kyā kyā use diyā hai ḳhudā ne patā karo
duniyā pe koī aib lagāne se peshtar
duniyā ke saare aib purāne patā karo
'anjum' ko hāfize pe bahut apne naaz hai
khātā hai kis anaaj ke daane patā karo
kuchh to naya kiya hai hawa ne pata karo
barham hain kyun charagh purane pata karo
mera bhi ek abr ke TukDe pe nam hai
aaega kab wo pyas baDhane pata karo
kis kis ne sabz peD girae hain is baras
barish ne aandhiyon ne hawa ne pata karo
kuchh din se maslahat ka janaza uThae hain
jaenge kis taraf ye diwane pata karo
shohrat ki raushni ho ki nafrat ki tirgi
kya kya use diya hai KHuda ne pata karo
duniya pe koi aib lagane se peshtar
duniya ke sare aib purane pata karo
'anjum' ko hafize pe bahut apne naz hai
khata hai kis anaj ke dane pata karo
- Book : Khamoshiyaon Ka Nagma (Pg. 35)
- Author : Dr. Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015 )
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.