kuchh to uski be-hisi se mar gae
kuchh to us kī be-hisī se mar ga.e
aur kuchh sāda-dilī se mar ga.e
kuchh to us ne lauT kar dekhā nahīñ
jo bache the mai-kashī se mar ga.e
ham ne us ko der tak dekhā kiyā
aur us kī sādgī se mar ga.e
dil meñ armāñ aur lab par kuchh nahīñ
ham to ḳhud kī buzdilī se mar ga.e
ab faqat sāñseñ bachī haiñ dostoñ
ham to kab kā zindagī se mar ga.e
kuchh to us ki be-hisi se mar gae
aur kuchh sada-dili se mar gae
kuchh to us ne lauT kar dekha nahin
jo bache the mai-kashi se mar gae
hum ne us ko der tak dekha kiya
aur us ki sadgi se mar gae
dil mein arman aur lab par kuchh nahin
hum to KHud ki buzdili se mar gae
ab faqat sansen bachi hain doston
hum to kab ka zindagi se mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.