kuchh to wufur-e-shauq mein bais-e-imtiyaz ho
kuchh to vufūr-e-shauq meñ bā.is-e-imtiyāz ho
merī nazar ke sāmne un kī harīm-e-nāz ho
soz-e-darūñ va āh-e-dil 'ishq meñ donoñ ek haiñ
ham ko to ik surūr hai soz ho yā ki saaz ho
vo dil-e-nazāra-kosh terā ye zauq-e-be-ḳhudī
jalve kī taab ho na ho un kī harīm-e-nāz ho
naaz hai shauq-e-āfrīñ shauq hai shorish-e-dimāġh
husn hai ārzū-pasand 'ishq junūñ-navāz ho
zauq-e-talab ko 'ishq ne turfa sabaq ye de diyā
nāla-e-dil-ḳharāsh ban āh-e-jigar-gudāz ho
dil kī taḌap meñ ai ḳhudā kuchh to ho zauq-e-āfiyat
dard vo de jo 'ishq meñ bā.is-e-imtiyāz ho
'farhat'-e-ārzū-pasand dars-e-niyāz-e-ishq ne
kūcha-e-ma.arifat meñ aa shefta majāz ho
kuchh to wufur-e-shauq mein bais-e-imtiyaz ho
meri nazar ke samne un ki harim-e-naz ho
soz-e-darun wa aah-e-dil 'ishq mein donon ek hain
hum ko to ek surur hai soz ho ya ki saz ho
wo dil-e-nazara-kosh tera ye zauq-e-be-KHudi
jalwe ki tab ho na ho un ki harim-e-naz ho
naz hai shauq-e-afrin shauq hai shorish-e-dimagh
husn hai aarzu-pasand 'ishq junun-nawaz ho
zauq-e-talab ko 'ishq ne turfa sabaq ye de diya
nala-e-dil-KHarash ban aah-e-jigar-gudaz ho
dil ki taDap mein ai KHuda kuchh to ho zauq-e-afiyat
dard wo de jo 'ishq mein bais-e-imtiyaz ho
'farhat'-e-arzu-pasand dars-e-niyaz-e-ishq ne
kucha-e-marifat mein aa shefta majaz ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.