kuchh tujhse shikayat mue be-pir nahin hai
kuchh tujh se shikāyat muue be-pīr nahīñ hai
qismat kī ḳhatā hai tirī taqsīr nahīñ hai
kāġhaz nahīñ likkhā koī tahrīr nahīñ hai
kyoñ niklūñ tire baap kī jāgīr nahīñ hai
misrī yuuñ hī biktī hai zarā chakh ke to dekho
ye piich hai chāval kī ajī khiir nahīñ hai
vo chāñdnī phir lā ke havāle mire kar deñ
aisī to ujāgar mirī taqdīr nahīñ hai
ik jaan se do jaan to honī nahīñ hargiz
yā maiñ nahīñ yā ab tirī ham-shīr nahīñ hai
sonā bhī jo chhūtī huuñ to ho jaatā hai miTTī
iksīr bhī mere liye iksīr nahīñ hai
ye saas muī chāhe jo kuchh un se lagā.e
is meñ to mirī koī bhī taqsīr nahīñ hai
khānā koī kyā haath se phir apne nikāle
Doī nahīñ chamcha nahīñ kaf-gīr nahīñ hai
beTī nahīñ detī tumheñ detī huuñ maiñ lauñDī
daulat nahīñ rakhtī koī jāgīr nahīñ hai
vo tauq to rakh aa.e the pahle hī juue meñ
ab dekhtī huuñ aaj to zanjīr nahīñ hai
'shaidā' ko zabāñ-dānī kī kuchh daad to miltī
afsos ki is vaqt buā 'mīr' nahīñ hai
kuchh tujh se shikayat mue be-pir nahin hai
qismat ki KHata hai teri taqsir nahin hai
kaghaz nahin likkha koi tahrir nahin hai
kyon niklun tere bap ki jagir nahin hai
misri yun hi bikti hai zara chakh ke to dekho
ye pich hai chawal ki aji khir nahin hai
wo chandni phir la ke hawale mere kar den
aisi to ujagar meri taqdir nahin hai
ek jaan se do jaan to honi nahin hargiz
ya main nahin ya ab teri ham-shir nahin hai
sona bhi jo chhuti hun to ho jata hai miTTi
iksir bhi mere liye iksir nahin hai
ye sas mui chahe jo kuchh un se lagae
is mein to meri koi bhi taqsir nahin hai
khana koi kya hath se phir apne nikale
Doi nahin chamcha nahin kaf-gir nahin hai
beTi nahin deti tumhein deti hun main launDi
daulat nahin rakhti koi jagir nahin hai
wo tauq to rakh aae the pahle hi jue mein
ab dekhti hun aaj to zanjir nahin hai
'shaida' ko zaban-dani ki kuchh dad to milti
afsos ki is waqt bua 'mir' nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.