kuchh tum bahak gae the to kuchh main bahak gaya
kuchh tum bahak ga.e the to kuchh maiñ bahak gayā
phir zindagī kī gaaḌī kā pahiya sarak gayā
pathrāv tab huā hai ta'alluq kī fasl par
jab zindagī ke khet kā har gehūñ pak gayā
chheḌā hai jab kisī ne mohabbat ke giit ko
dil meñ tumhārī yaad kā ġhuncha chaTak gayā
utrā vo naujavān jo daulat kī car se
siine se laḌkiyoñ ke dupaTTa sarak gayā
qismat-navāz log to raste ke ho ga.e
himmat javāñ thī jis kī vahī chāñd tak gayā
būḌhā huā jo baap to beTī javāñ huī
kuchh aur bojh baḌh ga.e to jism thak gayā
kuchh tum bahak gae the to kuchh main bahak gaya
phir zindagi ki gaDi ka pahiya sarak gaya
pathraw tab hua hai ta'alluq ki fasl par
jab zindagi ke khet ka har gehun pak gaya
chheDa hai jab kisi ne mohabbat ke git ko
dil mein tumhaari yaad ka ghuncha chaTak gaya
utra wo naujawan jo daulat ki car se
sine se laDkiyon ke dupaTTa sarak gaya
qismat-nawaz log to raste ke ho gae
himmat jawan thi jis ki wahi chand tak gaya
buDha hua jo bap to beTi jawan hui
kuchh aur bojh baDh gae to jism thak gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.