kuchh tumko meri jaan KHabar hai ki nahin hai
kuchh tum ko mirī jaan ḳhabar hai ki nahīñ hai
rasta hai kaThin zād-e-safar hai ki nahīñ hai
rahte haiñ isī ālam-e-imkān meñ ham log
ye ālam-e-imkān magar hai ki nahīñ hai
alfāz kī chaukhaT pe hai ib.hām kā parda
parde meñ koī dast-e-hunar hai ki nahīñ hai
aflāk ke us paar se ho aao to pūchheñ
jo baat idhar hai vo udhar hai ki nahīñ hai
kuchh tum ko meri jaan KHabar hai ki nahin hai
rasta hai kaThin zad-e-safar hai ki nahin hai
rahte hain isi aalam-e-imkan mein hum log
ye aalam-e-imkan magar hai ki nahin hai
alfaz ki chaukhaT pe hai ibham ka parda
parde mein koi dast-e-hunar hai ki nahin hai
aflak ke us par se ho aao to puchhen
jo baat idhar hai wo udhar hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.