kuchh ummid bandha de chahe dhoka de
kuchh ummīd bañdhā de chāhe dhoka de
jiine kā mujh ko bhī ek bahāna de
na.e qalam se na.e hurūf likhūñ maiñ bhī
tū bhī mujh ko apnā kāġhaz korā de
bhūl-bhulayyoñ meñ kyoñ mujh ko rakhtā hai
safar diyā hai to ik sīdhā rasta de
umr se lambī ho ga.ī ye tārīk surañg
dūsrī or kā ab to hameñ bhī ujālā de
ḳhvāhish chāñd sitāroñ kī ik gaThḌī hai
merī chādar āsmān par phailā de
bure jahāñ hoñ vahīñ raheñ ābād sadā
jo achchhe haiñ un ko des-nikālā de
ḳhud-sar maiñ bhī honā chāhtā huuñ 'betāb'
ik talvār mire sar par bhī tū laTkā de
kuchh ummid bandha de chahe dhoka de
jine ka mujh ko bhi ek bahana de
nae qalam se nae huruf likhun main bhi
tu bhi mujh ko apna kaghaz kora de
bhul-bhulayyon mein kyon mujh ko rakhta hai
safar diya hai to ek sidha rasta de
umr se lambi ho gai ye tarik surang
dusri or ka ab to hamein bhi ujala de
KHwahish chand sitaron ki ek gaThDi hai
meri chadar aasman par phaila de
bure jahan hon wahin rahen aabaad sada
jo achchhe hain un ko des-nikala de
KHud-sar main bhi hona chahta hun 'betab'
ek talwar mere sar par bhi tu laTka de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.