kuchh us maqam se ab dil ka karwan guzre
kuchh us maqām se ab dil kā kārvāñ guzre
yaqīñ kī had se jo guzre to be-zabāñ guzre
ye ittifāq kahāñ hai ki aañkh bhar aa.ī
mohabbatoñ meñ koī kaise be-nishāñ guzre
mujhī se ho ke guzartī hai raah duniyā kī
so mujh se ho ke zamīñ aur āsmāñ guzre
ta.alluqāt meñ vo marhale bhī kaise the
yaqīn aur gumāñ ke jo darmiyāñ guzre
tilism-e-rañg meñ uljhe hue haiñ sab 'dānish'
jo dekhne haiñ vo manzar abhī kahāñ guzre
kuchh us maqam se ab dil ka karwan guzre
yaqin ki had se jo guzre to be-zaban guzre
ye ittifaq kahan hai ki aankh bhar aai
mohabbaton mein koi kaise be-nishan guzre
mujhi se ho ke guzarti hai rah duniya ki
so mujh se ho ke zamin aur aasman guzre
talluqat mein wo marhale bhi kaise the
yaqin aur guman ke jo darmiyan guzre
tilism-e-rang mein uljhe hue hain sab 'danish'
jo dekhne hain wo manzar abhi kahan guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.