kuchh uzr pas-e-wada-KHilafi nahin rakhte
kuchh 'uzr pas-e-va.ada-ḳhilāfī nahīñ rakhte
ho kaise masīhā dam-e-shāfī nahīñ rakhte
aise to na the zaḳhm ki jo bhar hī na paate
ahbāb magar zarf-e-talāfī nahīñ rakhte
is chain se jiine meñ koī bhed nahīñ hai
bas ye ki tamannā.eñ izāfī nahīñ rakhte
is daur meñ insāf panap hī nahīñ saktā
iḳhlās-e-qalam jis meñ sahāfī nahīñ rakhte
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhanvar bahut achchhe
ham jaisā magar zauq-e-qavāfī nahīñ rakhte
ye mo'jiza mohtāj hai pindār-e-vafā kā
sab teshe dam-e-koh-shigāfī nahīñ rakhte
har baat meñ kam-māya nazar aate haiñ 'anjum'
rāhat to kujā dard bhī kaafī nahīñ rakhte
kuchh 'uzr pas-e-wada-KHilafi nahin rakhte
ho kaise masiha dam-e-shafi nahin rakhte
aise to na the zaKHm ki jo bhar hi na pate
ahbab magar zarf-e-talafi nahin rakhte
is chain se jine mein koi bhed nahin hai
bas ye ki tamannaen izafi nahin rakhte
is daur mein insaf panap hi nahin sakta
iKHlas-e-qalam jis mein sahafi nahin rakhte
hain aur bhi duniya mein suKHanwar bahut achchhe
hum jaisa magar zauq-e-qawafi nahin rakhte
ye mo'jiza mohtaj hai pindar-e-wafa ka
sab teshe dam-e-koh-shigafi nahin rakhte
har baat mein kam-maya nazar aate hain 'anjum'
rahat to kuja dard bhi kafi nahin rakhte
- Book : Samundar Men Utarta Hon (Pg. 115)
- Author : Anjum Khaliq
- Publication : Khaleeq Publication (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.